Saturday, May 9, 2015

MUSLIM SALEEM GHAZAL MAY-2 2015

ghazal daryuza gar copyMUSLIM SALEEM
DOSTO! BAY KAAR KOSHISH MAT KARO
SAMNAY AA JAO SAAZISH MAT KARO
MUDDAI HAIN HUM, NAHI DARYUZA-GAR
HAQ HAMARA DO, NAWAZISH MAT KARO
KEH RAHA HOON ZABT SE BHI KAAM LO
YEH NAHI KEHTA KE KHWAHISH MAT KARO
JO JAHAN PAR HAI THEHER JAYE WAHEEN
JALWA GAR HAI HUSN JUNBISH MAT KARO
KAL KAHA MUSLIM SE IK MADDAH NE
KHUD NUMAYAN HO, NUMAISH MAT KARO
———————
DARYUZA GAR : BHIKARI

MUSLIM SALEEM – GHAZAL MAY 2015

radeef par sherMUSLIM SALEEM

BAHUT HI SHAUQ SE KARTE HAIN NOSH JAAM-E-RADEEF
HAMARA SHER NAHEEN HAI MAGAR GHULAMِ-E- RADEEF

BAHUT ZAKEEM HAI APNA ZAKHEERA-E-ALFAAZ
TABHI TO THAAM KE RAKHTAY HAIN HUM ZIMAM-E- RADEEF

YEH BICHH SE JATAY HAIN KHUD HI KHAYAAL KI REH MEIN
NA FIKR-E-QAFIA HUM KO NA IHTIMAAM-E-RADEEF

HO KYUN NAH NAZ SUKHAN PAR IK AISAY SHAYAR KO
MUTEE-E-BAHR HO JO AUR HO SHADKAM-E-RADEEF