Pages

Sunday, May 8, 2011

YAUM-E-MADAR (MOTHERS DAY) BY AHMAD ALI BARQI AZMI




YAUM-E-MADAR SABHI MANATE HAIN
MAAN KI AZMAT KE GEET GATE HAIN
MAAN HAI JIN KE WAJOOD KI ZAAMIN
MAAN KO AKSAR WHO BHOOL JATE HAIN
MAAN KI MAMTA JAHAAN MEIN HAI ANMOL
MUFT MEIN JIS KO SAB GANWAATE HAIN
MAAN NE KI JIN KI NAAZ BARDARI
NAAZ BIWI KE WHO UTHATE HAIN
GHAR KI SHEERAZA BANDI MAAN SE HAI
MAAN NA HO TO YEH TOOT JAATE HAIN
UN KO MALOOM HAI KI MAAN KYA HAI
MAAN SE JO LOG CHHOOT JAATE HAIN
MAAN KA JAB BHI KHAYAAL AATA HAI
SOTE-SOTE WHO JAAG JAATE HAIN
YEH KHAYAALAAT HAIN BAHUT DIL SOZ
NEEND RAATON KI JO UDATE HAIN
MAAN KA WHO QAUL YAAD HAI MUJH KO
WADA KARTE HAIN JO NIBHATE HAIN
MAAN THI JAB TAK MUJHE KHAYAL NA THA
AB MUJHE DIN WHO YAAD AATE HAIN
MAAN KA NE’AMAL BADAL NAHIN KOII
IS LIYE JASHN YEH MANATE HAIN

No comments:

Post a Comment