Tuesday, May 28, 2013

Muslim Saleem – Seh ghazla – May 25, 2013

MOHABBAT FORUM KAY 25 MAY KAY TARHI MUSHUARE KAY LIYE MUSLIM SALEEM KA SEH GHAZLA. MISRA-E-TARAH “UBAR RAHI HAI CHIRAGHON MEIN PHIR CHAMAK KOI”

NA KUCHH MIZAJ MEIN NARMI, NA HAI LACHAK KOI
TO UNKAY SAATH CHALE KAISAY DOOR TO KOI
THI LA-SHAOOR MEIN AAHAT KISI KAY QADMAON KI
PALAT KAY DEKHA, NA THA DOOR-DOOR TAK KOI
WO SIRF YAAD THI, LEKIN SHADEED THI ITNI

KAY JAISAY AA GAYA PEHLOO MAIN YAK-BAYAK KOI

BUS EK PAL MAIN TA’LLUQ TO TARK KAR BAITHAY
TAMAM UMR SATATI RAHI KASAK KOI
SHAJAR TO KAAT DIYA, YEH MAGAR NAHEEN SOCHA
SUNAAI DEGI NA CHIDYON KI AB CHAHAK KOI
KISI ZAMAANE MEIN ISKO KHULOOS KEHTE THAY
YEH SHOLA BUJH GAYA, ISMAIN NAHEEN LAPAK KOI
HAI HAQ KA MAARIKA, KOI BULAO MUSLIM KO
KAY SAAF-GOI MEIN USKO NAHEEN JHIJHAK KOI
* * * * * * * * ************************* * * * * * *
JO CHAND-TAARON MAIN HAI, YEH BHI DAMAK KOI
DIKHAYE AAPSA CHEHRA HAMEIN FALAK KOI
YEH CHUDIYAN, YEH DOPATTA, YEH AARIZ-E-GULGOON
CHURA LAY RANG NA IN KAY KAHEEN DHANAK KOI
NA KOI SHOR NA AAHAT, KISI KAY JAANE SAY
YEH DIL KA KOOCHA HAI SUNSAAN SI SADAK KOI
SADDAYEN KAISI UTHI HAIN YEH USKI PAYAL SAY
BATA RAHI HAI HAMEN RAAZ YEH CHHANAK KOI
TUMHARE SAATH HAMAIN DEKH KAR UTHHA MEHSHAR
KISI KI JAAN JALI, REH GAYAHAI BHAK KOI
BHULA RAHAY THAY KI PHIR ZIKR USKA CHHED DIYA
HAMARAY ZAKHMON PAY MALNAY LAGA NAMAK KOI
SABHI YEH KEHTAY HAIN MUSLIM HAI UNKA DEEWANA
YEH BAAT SACH HAI TO IS MEIN NAHEEN HATAK KOI
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
TUMHAAREAANE KI KYA MIL GAYEE BHANAK KOI
“UBHAR RAHIHAI CHIRGHON MEIN PHIR CHAMAK KOI”
PURAANE DAUR KI HAMKO DIKHA JHALAK KOI
YEH KYA NAWA HAI KAY JIS MEIN NAHEEN LAPAK KOI
BAS EK SHOR NAYE DAUR KI HAI MAUSEEQI
KE AB SADAON MAIN BAQI NAHEEN KHANAK KOI
PHIR US KAYBAAD IN AANKHON MEIN KOI BHI NA JACHA
KUCCH IS ADA SAY DIKHA KAR GAYAJHALAK KOI
HAMARI BAZM MEIN WO NOOR BAN KAY KYA AAYE
KHULI HI RAH GAYEE, JHAPKI NAHEEN PALAK KOI
KISI KO DOST BANAANE KI HO AGAR KHWAHISH
TALAASH US MEIN KARO QADR-E-MUSHTARAK KOI
KISI GIROH SAY WABASTAGI NAHEEN APNI
HAM AISE LOGONG KO MILTA NAHEEN PADAK KOI
YEG FACBOOK SAY HI DIN RAAT CHIPKA REHTA HAI
SAWAAR ZEHNPAY MUSLIM KAY KYA HAI JHAK KOI
طرحی سہ غزلہ برائے محبت گروپ
عالمی آن لائن مشاعرہ : ۲۵؍ مئی ۲۰۱۳
از مسلمؔ سلیم
نہ کچھ مزاج میں نرمی نہ ہے لچک کوئی
تو اسکے ساتھ چلے کیسے دور تک کوئی
تھی لاشعور میں آہٹ کسی کے قدموں کی
پلٹ کے دیکھا، نہ تھا دور دور تک کوئی
وہ صرف یاد تھی لیکن شدید تھی اتنی
کہ جیسے آ گیا پہلو میں یک بییک کوئی
بس ایک پل میں تعلق تو ترک کر بیٹھے
تمام عمر ستاتی رہی کسک کوئی
شجر تو کاٹ دیا یہ مگر نہیں سوچا
سنائی دے گی نہ چڑیوں کی اب چہک کوئی
کسی زمانے میں اسکو خلوص کہتے تھے
یہ شعلہ بجھ گیا اس میں نہیں لپک کوئی
بہشت ملتی ہے دہشت سے اور تشدّد سے
نکال ڈالے دماغوں سے یہ سنک کوئی
چہار سمت سے دشمن نے ہم کو گھیر لیا
کسی بھی سمت سے آتی نہیں کمک کوئی
ہے حق کا معرکہ، کوئی بلاؤ مسلمؔ کو
کہ صاف گوئی سے اس کو نہیں جھجھک کوئی
************
جو چاند تاروں میں ہے یہ بھی ہے دمک کوئی
دکھائے آپ سا چہرا ہمیں فلک کوئی
یہ چوڑیاں یہ دوپٹہ یہ عارضِ گلگوں
چرا لے رنگ نہ انکے کہیں دھنک کوئی
نہ کوئی شور نہ آہٹ، کسی کے جانے سے
یہ دل کا کوچہ ہے سنسان سی سڑک کوئی
صدائیں کیسی اٹھی ہیں یہ اسکی پایل سے
بتا رہی ہے ہمیں راز یہ چھنک کوئی
تمہارے ساتھ ہمیں دیکھ کر اٹھا محشر
کسی کی جان جلی رہ گیا ہے بھک کوئی
بھلا رہے تھے کہ پھر ذکر اسکا چھیڑ دیا
ہمارے زخموں پہ ملنے لگا نمک کوئی
سبھی یہ کہتے ہیں مسلمؔ ہے ان کا دیوانہ
یہ بات سچ ہے تو اس میں نہیں ہتک کوئی
************
تمھارے آنے کی کیا مل گئی بھنک کوئی
’’ابھر رہی ہے چراغوں میں پھر چمک کوئی‘‘
پرانے دور کی ہم کو دکھا جھلک کوئی
یہ کیا نوا ہے کہ جس میں نہیں لپک کوئی
بس ایک شورنئے دور کی ہے موسیقی
کہ اب صداؤں میں باقی نہیں کھنک کوئی
پھر اس کے بعد ان آنکھوں میں کوئی بھی نہ جچا
کچھ اس ادا سے دکھا کر گیا جھلک کوئی
ہماری بزم میں وہ نور بن کے کیا آئے
کھلی ہی رہ گئی، جھپکی نہیں پلک کوئی
کسی کو دوست بنانے کی ہو اگر خواہش
تلاش اس میں کرو قدرِ مشترک کوئی
کسی گروہ سے وابستگی نہیں اپنی
ہم ایسے لوگوں کو ملتا نہیں پدک کوئی
یہ فیس بک سے ہی دن رات چپکارہتا ہے
سوار ذہن پہ مسلمؔ کے کیا ہے جھک کوئی
کمک: Reinforcement
پدک: Medal
Tarhi ghazal barai Mohabbat
 Responses to Muslim Saleem – Seh ghazla – May 25, 2013
  1. Janab Muslim Saleem sb
    Hai yeh seh ghazla nehayat dilnasheeN
    Aap ke arz e hunar par aafreeN
    Ahmad Ali Barqi Azmi
  2. muslimsaleem says:
    Great as ever Dr, Ahmad Ali Barqi Azmi sb.
  3. muslimsaleem says:
    Facebook par mazeed comments
    Tauqeer Zaidi bahut umda
    Saturday at 7:55pm · Like
    Tauqeer Zaidi NA KUCHH MIZAJ MEIN NARMI, NA HAI LACHAK KOI
    TO UNKAY SAATH CHALE KAISAY DOOR TO KOI,,,,,kya kehna bharpoor matla hai
    Saturday at 7:55pm · Like
    Tauqeer Zaidi THI LA-SHAOOR MEIN AAHAT KISI KAY QADMAON KI
    PALAT KAY DEKHA, NA THA DOOR-DOOR TAK KOI– subhanallah
    Saturday at 7:57pm · Like
    Tauqeer Zaidi WO SIRF YAAD THI, LEKIN SHADEED THI ITNI
    KAY JAISAY AA GAYA PEHLOO MAIN YAK-BAYAK KOI- bahut umda sher hai
    Saturday at 7:57pm · Like · 1
    Abu Obaida Azmi Waah bahot khoob
    Saturday at 8:05pm via mobile · Like
    Mohammad Kafeel meyari ashaar ke liye mubarakbaad qubool kejye
    Saturday at 8:09pm · Like
    Muslim Saleem Sabhi hazrat ka shukriya. abhi train mein hoon.
    Saturday at 8:13pm via mobile · Like
    Kamil Janetvi Waaah waah . Har ghazal be panah khubsurat hai . Har shey fanni pukhta kaari ka mazhar . Mubarakbad .
    Saturday at 8:16pm via mobile · Like
    Muslim Saleem Bahut shukriya kamil Janetvi sb
    Saturday at 8:18pm via mobile · Like
    Purshottam Abbi Azer wwhha kya kahne jaab ke bahut umdaa kalam
    Saturday at 8:19pm · Like
    Muslim Saleem Shukriya Naaz sb
    Saturday at 8:23pm via mobile · Like
    Muslim Saleem Shukriya Azer sb
    Saturday at 8:23pm via mobile · Like
    Naseem Nigar Hind waaaaaaaaaaaaaaaah janab bahuuuut umda
    Saturday at 8:25pm · Like
    Muslim Saleem Shukriya Naseem Nigar Hind
    Saturday at 8:28pm via mobile · Like
    Zaree Ahmad bas aik pal mein taaluq to tark kar bethay ……. tamaam umr staati rahi kasak koi
    Saturday at 8:32pm · Like
    Zaree Ahmad kya khoob, waaaaaaaaaaaaahhhhhhh
    Saturday at 8:32pm · Like
    Nazar Dwivedi Kamaaaal
    Saturday at 8:33pm via mobile · Like
    Muslim Saleem Shukriya Zaree Ahmad aur Nazar Dwivedi
    Saturday at 8:39pm via mobile · Like · 1
    Muslim Saleem Shukriya Mohd Kafeel sb
    Saturday at 8:40pm via mobile · Like
    Syed Junaid Razvi bht lajawaaab kalaam….shaandaar
    Saturday at 9:28pm · Like
    Majeed Taj Baloch Waah Sir. Bahut aalaa
    NA KUCHH MIZAJ MEIN
    NARMI, NA HAI LACHAK
    KOI TO UNKAY SAATH CHALE
    KAISAY DOOR TAK KOI
    Saturday at 9:31pm via mobile · Like
    Majeed Taj Baloch Aesay lagta hay ke tamaam qaafihay istemaal ho chukay
    Saturday at 9:33pm via mobile · Like
    Majeed Taj Baloch Dheroon daad is waseeh o hareez, rawaan, ba mahni aor khøobsurat ghazal balkay ghazaliyat ke liye. Salaamat rahen khush rahen
    Saturday at 9:35pm via mobile · Like
    Muslim Saleem Shukriya Majeed Taj Baloch sb
    Saturday at 10:00pm via mobile · Like · 1
    Muslim Saleem Shukriya Syed Junaid Razvi sb
    Saturday at 10:01pm via mobile · Like
    Sahil Rizvi YEG FACBOOK SAY HI DIN RAAT CHIPKA REHTA HAI
    SAWAAR ZEHNPAY MUSLIM KAY KYA HAI JHAK KOI
    Saturday at 10:07pm · Like
    Sahil Rizvi NA KUCHH MIZAJ MEIN NARMI, NA HAI LACHAK KOI
    TO UNKAY SAATH CHALE KAISAY DOOR TO KOI
    …WAAAAAAAH
    Saturday at 10:16pm · Like
    Muslim Saleem Shukriya Sahil Rizvi sb
    Saturday at 10:46pm via mobile · Like
    Muslim Saleem Shukriya Kaneez Zohra sahiba
    Saturday at 10:50pm via mobile · Like
    Shabana Anwer mashallahhh .. ghazal ka khazana ho gai apki ghazal janab …..bohot mubarakbad , apki ghazal nahi ghzle hui hai subhan allah ..har sher lajawab ..
    Saturday at 10:57pm · Unlike · 1
    Tauqeer Zaidi Bemisl Ashaar hai,, Mushkil Radeef jise bahut mushkil tha nibhana usme itne ashaar asaani se keh lena ek mojize se kam nahin,, Muslim Saleem Sahab Meri janib se mubarakbaad qubool kejye
    Saturday at 11:46pm · Unlike · 1
    Faisal Nawaz waaaaaaaaah waaaah ,,mashaAllhah bout khoob mohtaram Muslim Saleem sahib Mubarak baad sir lajwaab ashar howe hain
    Yesterday at 12:24am · Unlike · 1
    Muhammad Ali Mokashi Dili Mubarkbad Qabul karen..
    Haris Bilal wah wah wah kamaaal seh ghazzla hy sir boht umda adbi zoq taza hojata hy apka kalaam parh key. Salaamati ho. sada khush rahen.
    Tauqeer Zaidi bahut umda
    Faisal Nawaz NA KOI SHOR NA AAHAT, KISI KAY JAANE SAY
    YEH DIL KA KOOCHA HAI SUNSAAN SI SADAK KOI
    what surprises me the continuous flow of couplets ,,,MashaAllhah ,,,not one but almost three and complete themes………bout umda sir salamat rehein
    Rina Mehta o my god gr8 poetry
    Tauqeer Zaidi Mashallah
    Muslim Saleem Dear all. Assalamo alaikum. Ajmer.aate hi network band.ho gaya thaa. Abhi khula hai. Insha Allah kal Bhopal pahunch kar.fardan fardan sabko jawab doonga. Bahut shukrya
    Gul Faraz ACHAY ASHSAR KHOOBSOORAT
  4. وقت کی آواز ہیں مسلم سلیم
    شاعرِ ممتاز ہیں مسلم سلیم
    جانفزا ہے اُن کا تخلیقی شعور
    صاحب اعجاز ہیں مسلم سلیم
    احمد علی برقی اعظمی
  5. Urdu lover says:
    Ahmad Ali Barqi Azmi Janab Muslim Saleem sb
    Hai yeh seh ghazla nehayat dilnasheeN
    Aap ke arz e hunar par aafreeN
    Ahmad Ali Barqi Azmi
    9 hours ago · Like
    Muslim Saleem Firakh dili mein fi zamana Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi ka koi saani naheen.
    8 hours ago · Like · 1
    Ashfaq Ahmed Tadey · 15 mutual friends
    Nice
    8 hours ago · Like
    Muslim Saleem Shukriya Ashfaq Ahmed Tadey
    8 hours ago · Like
    Ahmad Ali Barqi Azmi جزاک اللہ
    8 hours ago · Like
    Muslim Saleem Shukriya Ahmad Ali Barqi Azmi sb aur Abdul Ahad Farhan
    7 hours ago · Like
    Abdul Ahad Farhan mashallah
    7 hours ago · Like
    Muslim Saleem Bahut shukriya Abdul Ahad Farhan
    7 hours ago · Like
    Ataullah Faizan Hai yeh seh ghazla nehayat dilnasheeN
    Aap ke arz e hunar par aafreeN ……Bahut khoob Ahmad Ali Barqi Azmi sb. Muslim Saleem kay liye niyat mauzoon alfaz isetmal kiye hain.
    7 hours ago · Like · 1
    Ahmad Ali Barqi Azmi Ataullah Faizan sb
    Shair e mumtaz haiN Muslim Saleem
    Saheb e aizaaz haiN Muslim Saleem
    6 hours ago · Like
    Muslim Saleem Bahut Shukriya Ahmad Ali Barqi Azmi sb
    6 hours ago · Like
    Abdul Ahad Farhan Dr. Barqi Azmi sb nay ashar ki shakl mein baja farmaya.

No comments: