Saturday, June 8, 2013

MUSLIM SALEEM – GHAZAL – JUNE, 7, 2013


(INSPIRED BY GRAPHICS OF A ROSE BY ZARI AHMAD ON “MOHABBAT” FACEBOOK GROUP)

KHABAR BHI HAI KE MOHABBAT GULAB HOTI HAI
LAHOO KE RANG SE ULFAT GULAB HOTI HAI 


HAZAAR USKO CHHUPAO MAGAR MAHAKTI HAI
DILON KI KYARI MEN CHAHAT GULAB HOTI HAI

YEH SEH NA PAAYENGE BAAD-E-SAMOOM NAFRAT KI
TA’ALLUQAAT KI FITRAT GULAB HOTI HAI

KHYAL BAN KE MIRI KHAAR-ZAAR HASTI MEN
TUM AATE HO TO TABEE’AT GULAB HOTI HAI

YEH ARZOO KOI MUSLIM PE HI NAHEEN MAUQOOF
HAR EK SHAKHS KI HASRAT GULAB HOTI HAI



 ख़बर भी है के मुहब्बत गुलाब होती है,
लहू के रंग से उल्फ़त गुलाब होती है।

हजार उसको छुपाओ मगर महकती है,
दिलों की क्यारी में चाहत गुलाब होती है।

ये सह न पायेंगे बाद-ए-समूम नफरत की,
ताल्लुकात की फितरत गुलाब होती है।

ख्यांल बन के मेरी खार-ज़ार हस्ती में,
तुम आते हो तो तबीयत गुलाब होती है।

ये आरज़ू कोई मुस्लिम पे ही नहीं मौकूफ़,
हर एक शख्स की हसरत गुलाब होती है।

- मुस्लिम सलीम

No comments: