Ye aks
waalidain ke Muslim Saleem Ke
Duniyaa-e-rang-o-boo
main hain ek unki yadgaar
Thay waalid
unke ek adeeb-e-sukhan shanaas
Muslim
Saleem jinke hain farzand-e-honahaar
Umme Habiba
waalida unki theen paakbaaz
Farzand
jinke aaj jahaan main hain naamdaar
Hain apnay
khandaaN ki wiraasat ke wo amen
Wird-e-zabaaN
hain aaj sabhi jinke shahkaar
Waalid thay
unke Farsi-daani main baa-kamaal
“Khayyam-e-Nau”
say jinka tabhhur hai ashkaar
- Khayyam-e-Nau” ka Muslim Saleem sb ke waalid nay Dr. Saleem Wahid Saleem sb nay Urdu main manzoom tarjuma kiya hai jise Saanjh publications Lahore nay shaya kiya hai.
ACKNOWLEDGEMENT (picture of Muslim Saleem, Dr. Saleem
Wahid Saleem sb and BegumUmmeHhabiba
sahiba has been designed by noted poet and graphic artiste janab Mohd.
Aleemullah Khan Waqaar sb.
No comments:
Post a Comment