Muslim
Saleem aaj kal ke aam shuara ki rawish se thora hatt kar apne
ashhab-e-qalam ki jaulaniyan dikhata hain. kuch nasri tkhliqat bhi hain.
woh naat, nazmein, qata’at waghaira bhi kehte hain magar woh
mamlikat-e-ghazal ke badshah hain. Aisay badshah jo apni sarhadoon ki
hifazat par hi nazar nahi rakhtay balkay is ki tausee mein bhi yaqeen
rakhtay hain. Un ki ghazal bilaa mubaligha ghazal mein izafah hai. Un ka
taair-e-fikr jab parwaaz karta hai to us ki nazar main daur ke manzar
hotay hain jo aisay khayalaat ko janam dete hain jin mein qaari ko
chaunka dainay wala kucch naya pan hota hai. Nein us shayar ko bara
shayar samjhta hon jisay parh kar doosray shayar ke dimagh mein yeh
khayaal sir uthaye ke kash mein bhi aisi shairi kar sakta. Muslim Saleem
ki shairi ( ghazal ) is tareef par khari utarti hai .
Allama Kausar Siddiqui, bhopal
No comments:
Post a Comment