Sunday, November 15, 2015

Baaz aa Jao: Muslim Saleem

MUSLIM SALEEM
UAA DETE HAIN JO SCHOOL KE MASOOM BACHCHON KO
FANAA KAR DETE HAIN TAYYARAY JIN KE ASPATALON KO
JINHON NE MAAR DALA HAI KARORON BAY GUNAAHO KO
BILAD E MAGHRIBI AB RO RAHAY HAIN APNI JAANUN KO
BATAYEN MASHRIQ E WASTAA MEIN UN KA KAAM HI KYA HAI
BANAYA HAI WAHAN KA MUNTAZIM AUR MUHTASIB KIS NE
YEH BEHTAR HAI KE BAZ AAJAYEN BAYJA DAKHAL DAY NE SE
YEH SAB SHAITAN KE CHELE YEH ISRAEL KE CHAMCHAY

Saturday, May 9, 2015

MUSLIM SALEEM GHAZAL MAY-2 2015

ghazal daryuza gar copyMUSLIM SALEEM
DOSTO! BAY KAAR KOSHISH MAT KARO
SAMNAY AA JAO SAAZISH MAT KARO
MUDDAI HAIN HUM, NAHI DARYUZA-GAR
HAQ HAMARA DO, NAWAZISH MAT KARO
KEH RAHA HOON ZABT SE BHI KAAM LO
YEH NAHI KEHTA KE KHWAHISH MAT KARO
JO JAHAN PAR HAI THEHER JAYE WAHEEN
JALWA GAR HAI HUSN JUNBISH MAT KARO
KAL KAHA MUSLIM SE IK MADDAH NE
KHUD NUMAYAN HO, NUMAISH MAT KARO
———————
DARYUZA GAR : BHIKARI

MUSLIM SALEEM – GHAZAL MAY 2015

radeef par sherMUSLIM SALEEM

BAHUT HI SHAUQ SE KARTE HAIN NOSH JAAM-E-RADEEF
HAMARA SHER NAHEEN HAI MAGAR GHULAMِ-E- RADEEF

BAHUT ZAKEEM HAI APNA ZAKHEERA-E-ALFAAZ
TABHI TO THAAM KE RAKHTAY HAIN HUM ZIMAM-E- RADEEF

YEH BICHH SE JATAY HAIN KHUD HI KHAYAAL KI REH MEIN
NA FIKR-E-QAFIA HUM KO NA IHTIMAAM-E-RADEEF

HO KYUN NAH NAZ SUKHAN PAR IK AISAY SHAYAR KO
MUTEE-E-BAHR HO JO AUR HO SHADKAM-E-RADEEF

Saturday, March 28, 2015

Muslim Saleem’s kalam uplauded at AMU mushaira

Friday, March 20, 2015

Poet Majid Siddiqui passes away


ممتاز سینئر شاعر جناب ماجد صدیقی گذشتہ شب تقریبا گیارہ بجے حرکت قلب بند ہوجانے کی باعث انتقال فرماگئے۔ماجد صدیقی کی کلیات،”ماجد نشان“ کے نام سے شائع ہوئی جس میں پانچ ہزار سے زائد غزلیں اور نظمیں شامل ہیں۔آپ کا ایک پنجابی مجموعہ کلام بھی شائع ہوچکا ہے۔شائستہ اطوار،مہذب اور طرح دار انسان تھے۔عمر بھر شعبہء تدریس سے وابستہ رہے۔پسماندگان میں ایک صاحب زادے اور تین صاحب زادے اور زوجہ محترمہ چھوڑ گئے ہیں۔ان کے صاحب زادے یاور ماجد دنیائے شعرو ادب میں اپنا ایک منفرد مقام رکھتے ہیں۔۔
ماجد صدیقی کی نمازِ جنازہ ریس کورس گرائونڈ راولپنڈی میں آج ایک بجے ادا کی جائے گی۔۔راوالپنڈی اسلام آباد کی ادبی دنیا کو اس جنازے میں شرکت کرکے اس شخص کو خراج عقیدت ضرور پیش کرنا چاہیے جس نے تمام عمر شعر،شعر اور صرف شعر کی نذر کردی،، اس موقع پر ان کا ایک شعر
ہم ہیں ماجد سلگتے دیے رات کے
بجھ گئے بھی تو ہوگی سحر سامنے

Saturday, January 24, 2015

MUSLIM SALEEM CHEEN AUR MONGOLIA MEIN TEEN SOORAJ DIKHNE PAR MANZOOM TASSURA

HAI QURB QAYAMAT KA YEH IK AUR NAZARA
LILLAH SAMAJH LIJIYE QUDRAT KA ISHARA
YEH GUMBAD-E-AFAAQ PAY SOORAJ NE PURAKA
KUCH AUR BHI MAZBOOT HO IMAAN HAMARA

Friday, January 23, 2015

TAQLEED LAAZIMI HAI: MUSLIM SALEEM

qata taqleedMUSLIM SALEEM
HAM RAAH-E-NABI (SAW), RAAH-E-SAHABA PA CHALEN TOU
DAR ASL HAI YEH HUKM-E-KHUDAWANDI KI TAKREEM
ALHAMD MAIN “NEKON KI CHALAA RAAH” BATAA KAR
ALLAH NE DEE HAI HAMEN TAQLEED KI TALEEM

Sunday, January 11, 2015

Ibarat Ali Alvi "Talash" on Muslim Saleem


MUSLIM SALEEM MAUJOODA URDU ADAB KAY BALAND TAREEN SUTOON HAIN. AAP KEY ASHA’AR MAIN WO KAAT HAI JO HEERON KI KIRNO SAY PAIDA HOTI HAI. AAP KI SHAYERI MAIN AIK NAYA ANDAZ AIK NAI ROSHNI MILTI HAI. AAP KEY ASHA’AR MAIN TANZO MAZAH KA BHI SARMAYA MILTA HAI. SANJEEDA SAHYERI KI TARAH TANZO MAZAH KA UNSUR BHI NAYE RANG MAIN NAZAR AATA HAI..(IBARAT ALI ALVI “TALASH”, ITALY) FB ID Urdish Ehbab

Mohammad Naseem on Muslim Saleem


Wednesday, January 7, 2015

EK NAATIYA SHER: MUSLIM SALEEM

ek naatiya sher graphics.gifZAMANE MEIN HAIN JITNE MUSTAFA KO CHAHNAY WALAY
WAHI TO DAR HAQEEQAT HAIN KHUDA KO CHAHANAY WALAY
زمانے میں ہیں جتنے مصطفیٰ کو چاہنے والے
وہی تو درحقیقت ہیں خداکو چاہنے والے

Sunday, January 4, 2015

ID MILAD UN NABI MUBARAK; MUSLIM SALEEM

ek qata durood with graphics.gif

YAHI DUNIYA MAIN HAADI HAI
YAHI MAHSHAR KA SAATHI HAI
ISAY HAR DAM PARHO MUSLIM
DUROOD-E-PAAK SHAAFI HAI