Saturday, May 7, 2011

Dr Saleem Wahid Saleem - a poetic tribute by Dr. Ahmad Ali Barqi Azmi


(Dr Barqi is a renowned and established poet, who is at present posted as translator-cum-announcer with All-India Radio's Persian service at New Delhi. He saw Dr. Saleem Wahid Saleem's works on www.saleemwahid.blogspot.com and spontaneously wrote these verses in his praise, which are being published here for the perusal of enlightened readers)



FIKR-O-FUN HAI SALEEM WAHID KA
UN KE ZAUQ-E-SALEEM KA GHAMMAZ

UN KA SARMAYA-E-HAYAT HAI JO
HAI WOH UN KE ZAMEER KI AAWAAZ

AHL-E-DIL KE LIYE HAI WAJH-E-SUKOON
UN KI GHAZLON MEIN HAI JO SOZ-O-GUDAAZ

UN KI FIKR-O-NAZAR HAI ROOH-E-ASR
ROOH PARWR THI ZEHN KI PARWAAZ

UN KE USLOOB-E-NAZM-O-NASR MEIN HAI
NUDRAT-E-FIKR-O-FUN KA NAAZ-O-NIYAAZ

SAATH URDU KE FARSI MEIN BHI
THE WOH ARBAAB-E-ILM MEIN MUMTAAZ

MAIN HOOM MUSLIM SALEEM KA MAMNOON
UN KE FARZAND HAIN JO MAYA-E-NAAZ

DE RAHE HAIN WOH AAJ KAL TARTEEB
UN KE AFKAR KE HAIN JO AIJAAZ

DILKASH-O-DILNAWAAZ HAI BARQI
UN KE ''TAAR-E-NAFAS'' KI HAR AAWAAZ
(Note: Tar-e-Nafas is the title of a poem by Dr. Saleem Wahid Saleem)

No comments: