Sunday, July 21, 2013

DO-GHAZLA JO KHWAAB MEIN WARID HUA…..MUSLIM SALEEM



KAHEEN SAY DEKHO BADALTI NAHEEN JIHAAT-E-WUJOOD
HAZAAR AAINAY HAIN AUR EK ZAAT-E-WUJOOD
NA IKHTITAAM HAI IS KA NA INTIHAA KOI
AZAL SAY JAARI-O-SAARI HAI KAAINAAT-E-WUJOOD
JO EK BAAR BANAA PHIR WO MIT NAHEEN SAKTA
BADALTI REHTI HAIN ASHKAL-O-MAAHIYAAT-E-WUJOOD
KTAAB-E-JUMBISH-O-HARKAT FAZAA MAIN HAI MAUJOOD
WARAQ WARAQ PAY RAQAM HAIN NIGAARISHAAT-E-WUJOOD
WUJOOD HI SAY TO ABAAD HAI JAHAN-E-ADAM
HAI EK PARDA JO HAI WAQFA-E-MAMAAT-E-WUJOOD
BAQAA-E-CHASMA-E-INSANIYAT HUSSAIN SAY HAI
BA-FAIZ-E-TASHNA LABAAN HAI RAWAAN FIRAAT-E-WUJOOD
+++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++++
NA EHTIYAAT-O-TAKALLUF NA INZIBAAT-E-WUJOOD
WUFOOR-E-JAZB AGAR HO TO HAI NISHAAT-E-WUJOOD
HAR EK KHALQ KO BAKHAA GAYAWUJOOD-E-MAHAZ
WO HUM HAIN JINKO MILAA KAIF-O-IMBISAAT-E-WUJOOD
JO HAI WUJOOD, WAHI KHAALIQ-E-WUJOOD BHI HAI
BICHHAATA REHTA HAI HAR DUM NAYEE BISAAT-E-WUJOOD
KHUD APNAY AAP HI IBN-E-SABEEL BHATKA HAI
WAGARNA SEEDHI THI AUR AB BHAI HAI SIRAAT-E-WUJOOD

TRANSLATION
DIMENSIONS OF EXISTENCE DO NOT CHANGE FROM WHERE YOU SEE THEM
REFLECTION OF EXISTENCE IS SEEN IN THOUSANDS OF MIRRORS
THERE WAS NEITHER BEGINNING, NOR THERE WILL BE END OF IT
EXISTENCE IS THERE FROM ETERNITY
ONE THAT COMES INTO BEING IS NEVER FULLY DESTROYED
ONLY THE SHAPES OF EXISTENCE KEEP CHANGING
THE BOOK OF MOVEMENTS IS PRESENT IN THE AIR
ON ITS EACH PAGE DEEDS OF EXISTENCE ARE WRITTEN
IT IS EXISTENCE WHICH IS THERE IN THE WORLD OF NO-EXISTENCE
PERIOD OF DEATH IS ONLY A CURTAIN
STREAM OF HUMANITY IS ALIVE DUE TO HUSSAIN
IT ISS DUE TO THOSE THIRSTY PEOPLE THAT FIRAAT (RIVER) OF EXISTENCE IS FLOWING
++++++++++++++++++++++++++++++++++
THERE IS NO NEED OF PRUDENCE AND SELF-RESTRAINT OF EXISTENCE
THE REAL BLISS FOR EXISTENCE IS WHEN IT MERGES WITH BELOVED
EVERY BEING HAS BEEN GIVEN MERE EXISTENCE
IT IS WE WHO HAVE BEEN GIVEN BLISS AND HAPPINESS OF EXISTENCE
IT IS ‘THE EXISTENCE’ WHO IS CREATOR OF EXISTENCE
HE KEEPS CREATING NEW EXISTENCE EVERY MOVEMENT
(“KULLA YAUMIN HUA FEE SHA’AN)
IT IS TRAVELLER WHO HAS  HIMSELF STRAYED
OTHERWISE, PATH OF EXISTENCE WAS STRAIGHT AND WILL REMAINS TRAIGHT
(QURAN-E-KAREEM HAS DESCRIBED TRAVELLER AS IBNUS SABEELMEANING “SON OF PATH”. IT IS FOR THE FIRST TIME THAT THIS TERM HAS BEEN USED INURDU POETRY AND THAT TOO IN THE STATE OF DREAM)

FACEBOOK COMMENTS
Roma Rizvi Buhat khoob…..science bhi yehi kehti hai ke Maddah ya matter shakl badalta

Wasif Khan · Friends with Waseem Barelvi and 4 others
bahut acchi ghazalein hain

Zeeshan Haider Bahi wahhhh dil khush go Gaya he ye ghazlein parh ker umda hein

Muhammad Khan · Friends with Sana Habib
super hay

Zulfiqar Naqvi بہت ہی عمدہ پیش کش …نہایت منفرد….بہت سی داد….اس سائنسی نکتہ ء نظر کے لئے

Quddus Baig · Friends with Sana Habib
wah bhauth umda hai

Zareena Khan taree aur daad to aap ki herghazal kahaq hai mai aaj aapse aap ka pen mangti hu

Farhan Mirza jawab nahi Janab.bahot badi baat kahdi.qabil a zikr

Majeed Taj Baloch Bahut hi umda aor khoobsurat kalaam. Bahut saari daad haazir hay.

Farid Ahmed Khan wah bhai,,allah aap ke khwabon aur kalam me barkat de aamin

Mazhar Iqbal Gondal وووووووواہ کیا ھی بات ھے جناب بہت ھی خوب ۔۔۔۔۔۔۔۔اور میں بھی۔۔۔۔۔ روما رضوی صاحبہ کی بات سے مُتفق ھو ں ۔۔۔۔۔۔۔ جزاک اللہ خیر

Haris Bilal waaah kiya he khoobsurat munfarid ashaar hain waaah, boht cc dad sir har sher lajawaab hy….

Nasir Amrohvi Bohat bohat khoob.

Salahuddin Haque Abusarim Sarim bahut umda …wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh

Kamil Janetvi WAAAAAAAH WAAH . KYA KAHNE ..AAP HI KAH SAKTE HAIN ITNA KHUBSURAT . ZINDABAD .

Ahmad Ali Barqi Azmi Is do ghazle meiN hai fikr o fun ka dilkash imtezaaj
Mustahaq daiN daad ke is ke liye Muslim Saleem

M Masoom Jan Sarhandi Pleasure brother

Sahil Rizvi Great sir

Mazhar Iqbal Gondal ما شا اللہ جی ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ بہت ھی شاندارررررررر

Fariyad Azer سبحان اللہ،سلیم صاھب،بہت خوب

Sahil Rizvi WUJOOD HI SAY TO ABAAD HAI JAHAN-E-ADAM
HAI EK PARDA JO HAI WAQFA-E-MAMAAT-E-WUJOOD
BAQAA-E-CHASMA-E-INSANIYAT HUSSAIN SAY HAI
BA-FAIZ-E-TASHNA LABAAN HAI RAWAAN FIRAAT-E-WUJOOD
TREMENDOUS !!!!!

Maqsood Jalib · Friends with Qamar Aafaque and 7 others
Subhan allah ! Bahut khoob !

Muhammad Mahmood Ahmad ۔۔
فلسفہ کے رنگوں میں رچا بسا فصیح و بلیغ کلام
دونوں غزلیات لاجواب اور لاثانی
والدہ ماجدہ کو اپنا کلام سنانا ان سے داد اور سندحاصل کرنا
بذات خود ایک بہت بڑی سعادت ہے ۔ ایسا قلمکارایسی شاعری کیسے نہیں کرے گا

Akhtar Jamal Usmani Bahot khoob janab. Neem khwabi ka ehsas hota hai.

Azhar Iqbal Azhar کمال ہے بھائی کیا خوب اشعار ہیں۔۔۔آمد ہے۔۔۔اور وہ بھی بہت زبردست
3 hours ago · Unlike · 1

Asim Khan Aafridi waaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaah mohtaram Muslim Saleem sahab kyaa kehne haiN ….ik ik sher jaise ik ghazl ho raha ho …. ghazab ka takhayyul bemisaal lab o lehja … zabardast andaaz e bayaN ….. dil khush ho gaya aapko padh ke janab
har sher aapki aala fikr aur salahiyatoN ka mazhara hai …Zindabaad

Maqsood Jalib · Friends with Qamar Aafaque and 7 others
Asim Khan Afridi sb. Bahut emandarana , ghair janibdarana or naqidana tabsira kiya he aapne. Aap bhi zindabad paindabad !


Syed Zia Rizvi kitni xoobsoorat ghazleN haiN. subhanAllah. Bohat mubarak ho.__Syed Zia khairabadi &sisters Syeda Naheed ,Syeda Imrana Nashtar.

Masroor Ahmed mushkil lekin aala shairy ka namoona
16 hours ago · Like

Naseha Usmani bahut khoob mauzoo k sath khubsoorat andaz-e- bayan wajood jaise mushkilradeef men yaqeenan laiq-e-sad daad hai

No comments: