Wednesday, July 17, 2013

Tributes to Muslim Saleem by other poets



DR. AHMAD ALI BARQI AZMI, NEW DELHI, INDIA
WAQT KI AAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHAAIR-E-MUMTAZ HAIN MUSLIM SALEEM
JAAN-FAZA HAI UNKA MEYARI KALAAM
SAHIB-E-AIJAZ HAIN MUSLIM SALEEM

(2)
SHAIR E KHUSH FIKR-O-KHUSH GUFTAR HAIN MUSLIM SALEEM
AHL E DANISH KE MOIN O YAAR HAIN MUSLIM SALEEM
“AAMA AAMAD” SE AYAANHAI UN KA HUSN-E-FIKR-O-FUN
ANDALEEB E GULSHAN E GUFTAR HAIN MUSLIM
(3)
AMAD-AMAD HAI YEH ASRI AGAHI KA SE HAM-KINAAR
EK SAHAFI KE QALAM KA HAI JO ADABI SHAHKAR
NAAM HAI MUSLIM SALEEM AUR SHAKHSIYAT TAREEKH-SAAZ
KAARNAME JINKE HAIN WEBSITON SE ASHKAAR
DEKH KARWEBSITEN KHUD RAI QAIM KEEJIYE
ILM KA MAHAUL HAI JIN KI WAJAH SE KHUSGAWAR
URDU SHUARA AUR ADEEBON PAR HAI JO DIRECTORY
AHL-E-DAANISH KE LIYE HAI BAAIS-E-SAD IFTIKHAR
KHIDMAT-E-URDU HAI UNKA EK FITRI MASHGHALA
HAI SITAM-DEEDAH DILON KI SHAIRI UNKI PUKAAR
MAZHAR-E-SOZ-E-DUROON HAI UN KA MEYARI KALAAM
HAI JAHAN-E-FIKR-O-FUN MEN JIS KO HAASIL AITBAAR
HAIN YEH RUSHHAAT-E-QLAM ASRI ADAB KA AAINA
SOZ-O-SAAZ-E-ZINDAGI BARQI HAI JIN SE ASHKAAR
(4)
HAIN YEH MUSLIM SALEEM KE ASHA’AR
UN KE ZAUQ-E-SALEEM KE GHAMMAZ
KHUD PARHEN AUR LAGAYEN ANDAZA
ZINDAGI KAHAI IN MEN SOZ-O-GUDAZ
UNKA RANG-E-SUKHAN TAGHZZUL MEIN
UN KI TAAB-E-RASAA KA HAI AIJAZ
UN KE FUN KA HAI QADR-DAAN BARQI
HAIN YE AHASH’AR WAQT KI AAWAZ
(5)
MUHSIN-E-URDU ZABAAN MUSLIM SALEEM
KARNAME JINKE HAIN BEHAD AZEEM
UNKI WEBSITE HAI GANJ-E-SHAYEGAN
JIS SE HAI UN KA AYAAN ZAUQ-E-SALEEM
HAI YEH URDU KE LIYE EK NEK FAAL
US KI HAIDIRECTORY KAAR-E-AZEEM
HAI ADEEBONKA YEH NAADIR TAZKIRA
JO ADAB KIHAI SIRAAT-E-MUSTAQEEM
HO GAYA DIL DEKH KAR YEH BAGH-BAGH
CHALTI HOJAISI YAHAN MAUJ-E-NASEEM
FIKR-O-FUNHAI UNKA ASRI AGAHI
HAIN WOAHL-E-ILM-O-DANISH KE NADEEM

 TANWIR PHOOL, NEW YORK, USA
NAGHMA-E-TAHNIYAT HAI HAR LAB PAR
BHAI MUSLIMSALEEM DEEDAH-WAR
KHUSH-NAWA, KHUSH-ADA, BAHUT MUHLIS
AASMAN-E-ADAB PE MISL-E-QAMAR
DEKH LOWEBSITE URDU KI
BHAI MUSLIM KA KHOOB HAI YEH HUNAR
NOOR PHAILETE HAIN ADAB KA SADA
DAAD DETEHAIN SAARE AHL-E-NAZAR
UNKI TAHREE HAI BAHUT AALA
UNKA TARZ-E-SUKHAN RAHE GA AMAR
KYA SHAGUFTA MIZAJ HAI UNKA
DIL HAI UNKA MOHABATTON KA NAGAR
ZAAT MEN APNI ANJUMAN HAIN YEH
DOSTON KE DILON MEI INKA GHAR
HAQP ARASTI, KHULOOS AUR ULFAT
UN SE MAMOOR UNKE QALB-O-JIGAR
DIL UNKAKALAAM PARHIYE AGAR
UN KITAHREER MEIN NIHAAN HAI ASAR
UNKA PAIGHAM AZMAT-E-INSAAN
UNKE AFKAAR HAIN UROOJ-E-BASHAR
BAZM-E-URDU KE HAR KHAZANE MEN
UN KI TAHREER MISL-E-LAL-O-GUHAR
IS MEN INSAANIYAT KA DARD BHAI HAI
SOZ-E-DIL KA NIHAAN HAI  IS MEN SHARAR
NAAM MASHHOOR HIND-O-PAK MEN HAI
MISL-E-MAHTAB UNKI RAAH GUZAR
UN SE SHADAB GULSHAN-E-ASHA’AR
PHOOL! SARSABZ HAI ADAB KA SHAJAR

HARIS BILAL, SARGOSHA, PAKISTAN
SHAIRI KA NAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
SHE’R KI PARWAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
UNKE SAB MAZMOON TABEEYAT KE QAREEB
ZINDAGI KA SAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
RANG SHE’RON MEN GULOON KE BHARTE HAI
SHAIR-E-GULSAAZ HAIN MUSLIM SALEEM
BAAT KARTE HAIN KHARI AUR JANDAAR
IK NIDAR AAWAZ HAIN MUSLIM SALEEM
LOG HARIS KEHNE PAR MAJBOOR HAIN
ASR KE AIZAAZ HAIN MUSLIM SALEEM

MAJEED TAJ BALOCH, Suba-e-Sindh, Pakistan
HAR DIL MAIN IHTIRAAM HAI MUSLIM SALEEM KA
BEMISL WO KALAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
HAR ZAAWIYE KSE KARTA HAI KHIDMAT ADAB KI JO
BUS AIK HI WO NAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
UNKO MILA HAI WARSAY MEN GANJ-E-SUKHANWARI
MASH-HOOR FAIZ-E-AAM HAY MUSLIM SALEEM KA
GHAZLON MAIN UNKI NUDRAT-E-FIKR-O-NAZAR BHI HAI
YE BE-NAZEER KAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
KARTA HAIN REHNUMAHI JO USTAAD KI TARAH
DIL YE MERA GHULAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
KARDO RAQAM YEH NAAM SUNHERI HUROOF SE
UNCHAA BAHUT MAQAAM HAY MUSLIM SALEEM KA
AI TAAJ ! BADSHAH HAIN SHAHR-E-SUKHAN KAY WO
AB HAR ZABAAN  PAY NAAM  HAY MUSLIM SALEEM KA

FAISAL NAWAZ, LONDON, ENGLAND
Nazrana-e-aqeedat barai Janab Muslim Saleem saheb az Faisal Nawaz
 JIS TARAH DARD KO HONTOON SE SADAA MILTI HAI
UN KAY SHERON MAIN SITAROON KO ZIYA MILTI HAI…
NUDRAT-E-FIKR SAY MAMLOO* KALAM-E-MUSLIM
AARZOO’ON KI KHANAK, DIL KI NAWA* MILTI HAI…..
LOG *LAB-BASTA HON DAHSHAT KI FAZA MEN JIS DAM
TAB KHAYALAAT KO *MUSLIM KI SADAA MILTI HAI
MERI MANO, WHO *MUAALIJ HAIN DIMAAGH-O-DIL KAY
UNKE ASHA’AR SAY ZAHNON KO SHIFA MILTI HAI…
RUT BAHAARON KI HO YAA DAUR-E-KHIZAAN HO FAISAL
UNKE ASHA’AR SAY JEENE KI ADAA MILTI HAI
 * nawaa==awaaz.. voice…
* mamloo = pur, bhara hua
*lab-basta = khamosh
*muaalij = Tabeeb, doctor
*Muslim = poet Muslim Saleem

KAMIL JANETVI, CHANDAUSI, INDIA
SACH YEH HAI ‘KAMIL’ KE SHAHR-E-ILM MEN .
WAQT KI AAWAAZ HAIN MUSLIM SALEEM .


NASIR FIROZABAD, FIROZABAD, INDIA
DOSTI KA BHI ALAG ANDAZ HAIN MUSLIM SALEEM
HAIN MIRE HAMRAZ AUR DAMSAAZ HAIN MUSLIM SALEEM

ZIA SHADANI, MURADBAD, INDIA
DAR HAQEEQAT AHL-E-FUN KI JAAN HAIN MUSLIM SALEEM .
KHIDMAT-E-URDU KA EK AILAAN HAIN MUSLIM SALEEM

NADEEM AKHTAR NADEEM MANGANAVI, LONDON, ENGLAND
URDU MEIN EK NAAM HAI MUSLIM SALEEM KA
JIDDAT GHAZAL MEIN KAAM HAI MUSLIM SALEEM KA

Ismail Usmani “Nazar”, Allahabad University, Allahabad
AAJ KUCH BAAT HAI MUSLIM MAIN KE LIKHTA HAI “NAZAR”
USKE HUR SHER NE INSAAN KO TAAQAT DI HAI
(This is in response to Facebook post “Do tarhi seh-ghazle” by me on June 30, 2013

Zareena Khan, Rampur
AAPKE DIL KO KHUDA NE WO TAHARAT DY HAI…………
SANG BHI JIS SE BIKHAR JAYE WO TAQAT DI HAI
(This is in response to Facebook post “Do tarhi seh-ghazle” by me on June 30, 2013


No comments: