Ik meer-e-kaarwaaN hain, adab ke hainshahsawaar
Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar
Har soo jahaan mein chalti hai unki higuftugoo
Phailee hi unke kaam ki shohrat bhi chaarsoo.
Posheeda jo adab main hai sab hoga be-naqaab
Aflak pay hua hai namoodaar Aaftaab.
Unke hi dar pe meri jabeeN jhuk rahi haikyooN
Qadmon pay unke jaa ke nazar ruk rahi haikyooN
Urdu zabaaN mein ek dhadakta hua hai dil
Gulhaay-e-rang-o-boo ka haishehkaar-e-mustaqil.
Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar
Har soo jahaan mein chalti hai unki higuftugoo
Phailee hi unke kaam ki shohrat bhi chaarsoo.
Posheeda jo adab main hai sab hoga be-naqaab
Aflak pay hua hai namoodaar Aaftaab.
Unke hi dar pe meri jabeeN jhuk rahi haikyooN
Qadmon pay unke jaa ke nazar ruk rahi haikyooN
Urdu zabaaN mein ek dhadakta hua hai dil
Gulhaay-e-rang-o-boo ka haishehkaar-e-mustaqil.
Ab faiz unke dar se yahaaN paa rahe hain hum
Apnaa naseeb aise bhi chamka rahe hain hum.
Afkaar dilnasheeN hain, takhayyul hailaajawaab
Jinki zia se ho gaye zarray bhi aftaab
Dasht-e-junooN ka ek musafir safar mein hai
Manzil ko hai talaash koi rahguzar mein hai.
Main nay padha hai Meer ko Ghalib ko Zauq ko
Shair ek aur azeem mila apnay shauq ko
Unka kalaam rahat-e-qalb-o-jigar bhi hai
Goya kay ik muraqqa-e-auj-e-bashar bhi hai.
Urdu bhi jalwa-gar hai yahaaN tamkanat ke saath
Simti hai unki tarz-e-nigaarish mein kaayenat
Wusa’at nazar ki maaya hai zahn-o-shaoor ka
Ik mustaqil zareeya hai kaif-o-suroor ka
Noke qalam se lete hain khanjar ka kaam bhi
Urdu kay haq main hain wo mojahid mudaam bhi.
Har sher bolta hai ghazal bolti hui
Koi na koi raaz-e-nihaan kholti hui.
Urdu ko phir say bakhsi hai tanweer yaa khuda
Unki badha day aur bhi tauqeer yaa khuda
Muslim Saleem aap ko doon main khiraaj kyaa
Tarique sukhan kay kooche main khud main hoonik gadaa
*******************************************
FACEBOOK COMMENTS
*********************************************
·
Ik meer-e-kaarwaaN hain, adab ke hain shahsawaar
Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar……..
Baagh-e-sukhan hai jin ke sabab aaj laalazaar……..
Amazing MATLA*...... Is matlay mein Shaair ke Mission, Maqsad-e-Zeest ko Apnay kamaal-e-hunar aur parwaz-e-takhayyul say jo dilnasheen Aks-o-Rangat pesh kiya hai ham Shaair say Uns-o-Aqeedat ka isay ik Be-misl aur Naayaab Andaaz hi kahenge Janab......
Afkaar dilnasheeN hain, takhayyul hai laajawaab
Jinki zia se ho gaye zarray bhi aftaab..................
Mausoof nay Adabi-khidmaat aur Tashheer-e-Urdu ke liye jo Aqdaam Uthaaye hain wo qaabil-e-shataaes hai..........Be-shumaar blogon ki madad say anginat Gumnaam Shoaraa-o-Adba'a ki Takhleeq ko be-laus Manzar-e-Aam pay laakar un shakhsiyaat ko In Dino Adabi-pehchaan aur mo'atbar Maqaam say nawaaz rahe hain.................
Main nay padha hai Meer ko, Ghalib ko, Zauq ko
Shair ek aur azeem mila apnay shauq ko..............
Yhaan Tarique M. sahib Apne Tajziya aur Tajurbaat ki benaa par yeh kehnay say gurez naheen kartay ke..... Meer*, Ghalib* aur Zauq* ko padhnay ke baad Daur-e-Haazir mein apna to Shauq-e-Nazar sirf Is azeem shaair Janab Muslim* par markooz hota hai.................
Har sher bolta hai ghazal bolti hui
Koi na koi raaz-e-nihaan kholti hui.
Waaqae baday qareenay say Mohtaram Muslim* Saleem sb. ke makhsoos Lab-o-Lahjaa aur is Infaraadi Andaaz-e-Sukhan par Janab Tarique M. sb. nay kya khoob girah lagaya hai…...
Sir Syed-Day ke hawalay say Apney haaliya Qtaa* ke zariye Mohtaram Muslim* nay Aligarh say Apni wabastagi aur nisbat ka naadir suboot jahaan walon ko day diya hai…..
Pilaai hai jo Syed* nay wahi mai pee rahaa hoon main...
Aligarh bolta hoon main, Aligarh jee raha hoon main
·
Awesome...... No doubt, your thoughts have the nerve of
poetry by touching the both, heart & soul....... made the whole atmosphere
lively and dignified in view of properous days of human being on this earth
.................. Unka kalaam rahat-e-qalb-o-jigar bhi hai
Goya kay ik muraqqa-e-auj-e-bashar bhi hai........................ Hats off to you, Janab Tarique Muhiuddin sb. for such a beautiful creation in honor to our renowned poet (Mohtaram Muslim Saleem sb.) of global fame.
Goya kay ik muraqqa-e-auj-e-bashar bhi hai........................ Hats off to you, Janab Tarique Muhiuddin sb. for such a beautiful creation in honor to our renowned poet (Mohtaram Muslim Saleem sb.) of global fame.
·
Roma Rizvi
Laffz ba laffz ..aik sachi tehreer. .. ap ki muhabbat aur khidmat sab ke liye
aik misaal hai.... Allah ap ko mazeed kamyabiyan ata farmaye. ..
·
Mohtaram Hazraat Aap ko hamari yeh peshkash Acchi lagi shukriya.
Janaab Muslim saleem sb. In bulandiyoN se kaafi buland hain. Mera qalam iss
layeq nahi ke iss ka haq Ada
ker sake. Yeh nazm meri khud ki post per bhi hai. Aali moqaam janaab mohtaram
saleem sb ki khidmat mein do sher molaahza karen.
Fasahat mein balaghat
mein talaaqat mein khitabat mein,
kare subhaan-e-vail aa ke tere dar ki darbaani.
Teri tahreer kyaa hai ik sabeel-e- jaam-e- kausar hai,
Teri taqreer kyaa hai ilm ke dariya mein tughyaani.
kare subhaan-e-vail aa ke tere dar ki darbaani.
Teri tahreer kyaa hai ik sabeel-e- jaam-e- kausar hai,
Teri taqreer kyaa hai ilm ke dariya mein tughyaani.
·
Faisal sb. Mohtaram saleem sb. in bulandiyon se kaafi buland
hain. mera qalam iss layeq nahi ke iss ka haq ada ker sske. Aap tamaam hazraat
ko meri yeh kavish Acchi lagi shukriya ek sher mohtaram janaab saleem sn ki
khidmat mein arz kiiya hsi.
Asangani
Mushtaq dasht-e-jnoon ka ek musafir safar may hai ........ manzil ko hai
talash, koyi rehguzar may hai......
·
Sayyed
Fazal Gillani waah ,,,shaandaar khiraaj e tehseen hy
·
Mazhar
Saleem Majoka DASHT E JANOON KA EIK MUSAFIR SAFAR MEIN HEY..........
·
Tajammul
Kazi Khoob bohat khoob. .....
·
Feroze
Natique Khusro MA SHA ALLA
·
Yaqub
Malik subhanallah
·
Saleem
Shahzad Schaim Subhan Allah
·
Anjum
Bashirch dashat janon ka ek musafar safer mein hy.........bohat umda
lajawab
·
اردو کو پھر سے بخشی ہے تنویر یا خدا ، ان کی بڑھادے اور بھی توقیر یا خدا
۔ بہت خوب ۔
Dheeraj
Mishra वाह
Urdish Ehbab
subhan allah buhat hi lajawab jazak allah dad ka khazana hazeer hey
·
Shaikh
Sadique Zilly wah,,bahut hi khoobsoorat
·
Junaid
Akhter Wah Tariq Sahab Wah
·
Zareena
Khan Aap ke her .shair se aqidat ka izhaar ho rha hai bohat achha likha
hai....aur bohat imandari se likha hai aapne unki shakhsiyat ki sachhi
terjumani ki haj jik wo mostahaq hai
Salman Abid
HQ b'HQ daar Rseed !! janab TariQ sahib, bey misaal likha hai aap ne, Samunder
ko Koozey mei bnd krney ki tarah !!
·
Anuradha
Arora MASHAALLAAH.....SUBHANALLAAH.....mere paas to taareef ke liye alfaz
hi nahin bache......Honestly..I am short of words...rather
speechless.....totally.....kya shaandaar jazba hai aur kis qadar
dilchasp/mesmerizing andaz-e-bayan........Saleem Saheb Salamat Rahiye hamesha
hamesha.............
Wahhhh ji khooob
izhar e aqeedat ...Qabil e tehseen..... Kia kehnay Muslim Saleem sb k....
Tarique Mohiuddin sb nai boht Ji khoobsoorat nazrana e
aqidat likhha hai jiski jitni bhi tareef ki jaye kum hai,yeh tau haqiqat mein
azeem shyr hein bharpur dad daita haun
wah bhai wah tariq mohiudddin sahab muslim saleem sahab k
leeay aap nay jin khayalat ko shairy ka rang dya hay woh hur tarah sey qabil
tareef hay.Allah aap ko jaza e khair dey
Noke qalam se lete
hain khanjar ka kaam bhi Urdu kay haq main hain wo mojahid mudaam bhi.
********** LAJWAAAAAB
Jnb Tarique Muhiuddin shb ne Behtreeeeen aqidat peshki hai
aapki ke khidmat mein....
Bht khoob wah
·
boht khob janab wah
·
Khoob hai Tarique Muhiuddin ka nazr e khuloos
Sab ke manzoor e nazar haiN aaj kal Muslim Saleem
Sab ke manzoor e nazar haiN aaj kal Muslim Saleem
Subhan Allah.
wah buhot khoob wah
Kya Kehna Wah Wah Wah
·
bemisal alfaz
·
bahut Khoob or bahut acchhaa kalaam. mubaarak baad.
·
waaah waah.... behtareen nazraana hy Mashallah... bohut
khoobsurat. aur Muslim Saleem sahib ki khidmaat bila shuba is sey b kahen
barh ker hain... hum khush naseeb hain k dor e hazir k aik azeem shaair
hamaarey halqa e ahbab mein hain.
·
HAQ HAQ HAY---SUCH SUCH HAY---\AAYSA PIARA
HADIA-E-TEHNEET--DIL KHUSH KER DIA--MUBARAK H0
·
muslim saleem bhai nawazish, buhat khubsurat kalam parha,
aur buhat khoob, her shair bolta hai, ghazal bolti hui, koi na koi raaz e
nihaan kholti hui, wah
·
wah Bahot khoob lajwab.
·
lajawab
·
MashaAllah Tarique
Mohiuddin saib shaandaar nazaran e aqeedat pesh kiya ,,lajwaab ,,Allah tala
Aap ko Urdu adaab ka khadim aur sukhun ki bulandyoon se nawaze aur aap ka
nazriyaa sheroon main betahashaa roshinii farham ho jo roshni aap apne shreoon
main byaan kar sakein Ameeen Suma Ameeen .....
·
Bahut khoob janaab her rang mein lajwaab hsin.
·
Bahot umda
Subhaan Allah kya nazraana e aqeedat hay. Bemisaal,
laajawaab
Janaab Tarique
Mohiuddin, sahb bahot khoob kalaam hay. Bahot si daad aap donoo ke liye
muslim saleem sahab kee ye kawish dilkashaur pur asar
hai....poori parhne ke bad mazeed arz karoonga
Janab alfaz nahi
jisse yaha tareef kar saku.par 2 alfaz me itna kahunga Aap salamat rahein Urdu
Adab bhi sath hai
Bout umda Adabi Kavish aik shaandaar nazarana e aqeedat
.......baraaye nazar azar kiya Muslim Saleem sir ko....Aur hum tasleem karte
hain Muslim Saleem saib ko Urdu zubaan pe qudarat hai ...mashaAllah.....Aap ke
ghazloon ka zakhera qudrat zubaan ka aisa saboot hai......Main Tariq saib ke
haque main dua karta hoon ke aap ke kaalam main Allah betahashaa roshini farham
kare aur aik khadim e adab ki bulandyoon se nawaze.....Ameen suma
Ameen..............
waah kaisi zabaan pay qudrat hai
jiske baais ghazal main nudrat hai
mu’tarif hai zamaana" Muslim" ka
yeh fasaana naheen, haqeeqat hai...................Faisal Nawaz.........
waah kaisi zabaan pay qudrat hai
jiske baais ghazal main nudrat hai
mu’tarif hai zamaana" Muslim" ka
yeh fasaana naheen, haqeeqat hai...................Faisal Nawaz.........
·
Subhaan Allah, Bemisaal nazraana e aqeedat hay. bahot khoob
kalaam hay.
ماشا اللہ۔۔۔۔۔۔۔شاندار خراج ِ عقیدت۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ کیا کہنے
·
wah,,bahut hi khoobsoorat
KYA KEHNAY SIR ,WAAH,WAAH.
·
bahot khoob.
·
Umdagi ka moraqqa hai
Bht Alla SIR
No comments:
Post a Comment